Waqt Ki Aankh Se Kuchh KHwab Nae Mangta Hai

waqt ki aankh se kuchh KHwab nae mangta hai

dil mera ek dua raat gae mangta hai

ek aawaz tah-e-ab bulati hai mujhe

ishq mujh se bhi wahi kachche ghaDe mangta hai

dard kahta hai kisi saat-e-tanha mein rahun

ek makan gahre samundar se pare mangta hai

zabt chahe use ruKHsat ki ijazat mil jae

ashk aankhon se mohabbat ke sile mangta hai

dasht dar dasht liye phirta hai mujh ko ye junun

imtihan ishq mein kuchh aur kaDe mangta hai

(880) Peoples Rate This

Your Thoughts and Comments

Waqt Ki Aankh Se Kuchh KHwab Nae Mangta Hai In English By Famous Poet Humaira Rahat. Waqt Ki Aankh Se Kuchh KHwab Nae Mangta Hai is written by Humaira Rahat. Read famous Poem Waqt Ki Aankh Se Kuchh KHwab Nae Mangta Hai for youth and Student by Humaira Rahat. Free Download Waqt Ki Aankh Se Kuchh KHwab Nae Mangta Hai in PDF.