Apne Chaman Pe Abr Ye Kaisa Baras Gaya

apne chaman pe abr ye kaisa baras gaya

har qatra zahar ban ke fazaon mein bas gaya

sud-o-ziyan ki fikr ka kis ko raha dimagh

muddat hui ki hausla-e-pesh-o-pas gaya

ab jagte hain apni hi aahaT se qafile

rah-e-talab se shewa-e-bang-e-jaras gaya

ek sail-e-rang-o-nur se jal-thal hai kaenat

kaisa ye tere jalwon ka baadal baras gaya

dikhlaen hum shikastagi-e-baal-o-par kise

kahte hain log mausam-e-qaid-e-qafas gaya

chaaragaro ye zahr utaro to baat hai

tarikiyon ka nag zamane ko Das gaya

naqsh-e-qadam ka bhi koi milta nahin suragh

chupke se dil mein aa ke mere kaun bas gaya

har lamha zindagi se ibarat tha jin dinon

kya kya na hum se le ke wo daur-e-hawas gaya

'hurmat' ye dil hai apni tabahi pe jis ko naz

wo phul hai jo khilne se pahle bikas gaya

(841) Peoples Rate This

Your Thoughts and Comments

Apne Chaman Pe Abr Ye Kaisa Baras Gaya In English By Famous Poet Hurmatul Ikaram. Apne Chaman Pe Abr Ye Kaisa Baras Gaya is written by Hurmatul Ikaram. Read famous Poem Apne Chaman Pe Abr Ye Kaisa Baras Gaya for youth and Student by Hurmatul Ikaram. Free Download Apne Chaman Pe Abr Ye Kaisa Baras Gaya in PDF.