Dil Ko Taufiq-e-ziyan Ho To Ghazal Hoti Hai

dil ko taufiq-e-ziyan ho to ghazal hoti hai

zahr-e-gham baada-chukan ho to ghazal hoti hai

fikr tap tap ke nikharti rahe kundan ki tarah

aag sine ki jawan ho to ghazal hoti hai

dhimi dhimi si nawa silsila junban-e-abad

parda-e-jaan mein nihan ho to ghazal hoti hai

dhaDkanen surat-e-alfaz bikharti jaen

dil maani ki zaban ho to ghazal hoti hai

aanch miTTi ke khilaunon ki tarah milti jae

zehn KHwabon se tapan ho to ghazal hoti hai

rauzan-e-mah se pichhle pahar ek shoKH-laqa

jaanib-e-di-nigaran ho to ghazal hoti hai

ruh-e-shab apni adaon ki tab-o-tab liye

KHalwat-ara-e-bayan ho to ghazal hoti hai

ek sayyal kasak jada-kusha-e-taKHliq

fan ki nabzon mein rawan ho to ghazal hoti hai

tajarbe dard ki shabnam mein nahaen 'hurmat'

gul-fishan shoala-e-jaan ho to ghazal hoti hai

(825) Peoples Rate This

Your Thoughts and Comments

Dil Ko Taufiq-e-ziyan Ho To Ghazal Hoti Hai In English By Famous Poet Hurmatul Ikaram. Dil Ko Taufiq-e-ziyan Ho To Ghazal Hoti Hai is written by Hurmatul Ikaram. Read famous Poem Dil Ko Taufiq-e-ziyan Ho To Ghazal Hoti Hai for youth and Student by Hurmatul Ikaram. Free Download Dil Ko Taufiq-e-ziyan Ho To Ghazal Hoti Hai in PDF.