Dil-e-azurda Ko Bahlae Hue Hain Hum Log

dil-e-azurda ko bahlae hue hain hum log

kitne KHwabon ki qasam khae hue hain hum log

ek aalam ke harif ek zamane ke naqib

jaise tariKH ke dohrae hue hain hum log

ek muddat hui hum DhunDh rahe hain KHud ko

apni aawaz ke bhaTkae hue hain hum log

jis ke shoalon se numu paenge kuchh phul nae

aag sine mein wo dahkae hue hain hum log

jin se bedar hua lazzat-e-azar ka zauq

choTen aisi bhi kai khae hue hain hum log

ek gutthi jo sulajh kar bhi na suljhi zinhaar

us ko suljha ke bhi uljhae hue hain hum log

hosh mein rah ke bhi lazim hai ki madhosh rahen

raaz aankhon ka teri pae hue hain hum log

gardish-e-waqt koi aur Thikana batla

mahfil-e-dost se uktae hue hain hum log

aanch aai na kaDi dhup mein lekin 'hurmat'

chandni raaton ke suno lae hue hain hum log

(858) Peoples Rate This

Your Thoughts and Comments

Dil-e-azurda Ko Bahlae Hue Hain Hum Log In English By Famous Poet Hurmatul Ikaram. Dil-e-azurda Ko Bahlae Hue Hain Hum Log is written by Hurmatul Ikaram. Read famous Poem Dil-e-azurda Ko Bahlae Hue Hain Hum Log for youth and Student by Hurmatul Ikaram. Free Download Dil-e-azurda Ko Bahlae Hue Hain Hum Log in PDF.