Ek Duniya Kah Rahi Hai Kaun Kis Ka Aashna

ek duniya kah rahi hai kaun kis ka aashna

main hi wo tha jis ne ek duniya ko samjha aashna

puchhte hain bujhte lamhon ke khanDar har sham ko

ho gai kya dil ki wo sham-e-KHaraba aashna

DhunDhta hai der se khoe hue sikke ki tarah

mazi-e-KHamosh ko imroz farda-ashna

ye zamin sadiyon pe jis ki aag ne badla tha rup

rafta rafta ho chali ek barg shoala-ashna

naKHl-ha-e-rah-guzar tum kya hamein pahchante

kitne sae kho chuka hai zauq-e-sahra-ashna

karobar-e-qurbat-o-duri mein aksar ban gae

ajnabi iKHlas gesu aashna na-ashna

wusat-e-daman ka 'hurmat' jaeza lena paDa

mahw-e-ghawwasi hai kab se fikr dariya-ashna

(850) Peoples Rate This

Your Thoughts and Comments

Ek Duniya Kah Rahi Hai Kaun Kis Ka Aashna In English By Famous Poet Hurmatul Ikaram. Ek Duniya Kah Rahi Hai Kaun Kis Ka Aashna is written by Hurmatul Ikaram. Read famous Poem Ek Duniya Kah Rahi Hai Kaun Kis Ka Aashna for youth and Student by Hurmatul Ikaram. Free Download Ek Duniya Kah Rahi Hai Kaun Kis Ka Aashna in PDF.