Waqt Gardish Mein Ba-andaz-e-digar Hai Ki Jo Tha

waqt gardish mein ba-andaz-e-digar hai ki jo tha

tan mein jaan hai ki jo thi dosh pe sar hai ki jo tha

qafile luTte gae bujhte gae dil lekin

ek hangama sar-e-rahguzar hai ki jo tha

tesha-e-fikr wahi nashtar-e-ehsas wahi

zaKHm-e-sar hai ki jo tha zaKHm-e-jigar hai ki jo tha

sath qadmon ke laga chalta hai apna saya

wahi hum hain wahi sahra-e-safar hai ki jo tha

aadmi apne KHayalon ka sulagta paikar

KHud-nigar hai ki jo tha KHak-basar hai ki jo tha

aankh walon ne to har moD pe badle andaz

ek apna wahi andaz-e-nazar hai ki jo tha

aag jangal ki bujhae ye paDi hai kis ko

wusat-e-jaan mein wahi raqs-e-sharar hai ki jo tha

aql ye teri hi punji hai samajh ya na samajh

dil ek ujDa hua jalta hua ghar hai ki jo tha

puchhne aae hain bichhDe hue lamhe 'hurmat'

kya wahi silsila-e-sham-o-sahar hai ki jo tha

(771) Peoples Rate This

Your Thoughts and Comments

Waqt Gardish Mein Ba-andaz-e-digar Hai Ki Jo Tha In English By Famous Poet Hurmatul Ikaram. Waqt Gardish Mein Ba-andaz-e-digar Hai Ki Jo Tha is written by Hurmatul Ikaram. Read famous Poem Waqt Gardish Mein Ba-andaz-e-digar Hai Ki Jo Tha for youth and Student by Hurmatul Ikaram. Free Download Waqt Gardish Mein Ba-andaz-e-digar Hai Ki Jo Tha in PDF.