Wo Aalam Hai Ki Har Mauj-e-nafas Hai Ruh Par Bhaari

wo aalam hai ki har mauj-e-nafas hai ruh par bhaari

KHuda jaane ye jina hai ki jine ki adakari

KHuda-wanda tere zauq-e-ata ko kya kahe koi

mili hai hum se KHufta-qismaton ko dil ki bedari

Daraata kya dil-e-sarkash ko ehsas-e-saza lekin

laraz jata hai nam-e-afw se naz-e-KHata-kari

nazar uTThi kisi ki dil ne ek paigham sa paya

ye lamha hai ki hum uDti hui si koi chingari

uThae zindagi ka bojh baDhta ja raha hun main

tamanna-e-subuk-sari na ehsas-e-giranbari

miTai jaegi ye muskuraati nachti duniya

azal se sirf ek din ke liye kya kya hai tayyari

farishte rashk se kya kya na takte hain use 'hurmat'

koi karta hai pahli bar jab azm-e-gunahgari

(933) Peoples Rate This

Your Thoughts and Comments

Wo Aalam Hai Ki Har Mauj-e-nafas Hai Ruh Par Bhaari In English By Famous Poet Hurmatul Ikaram. Wo Aalam Hai Ki Har Mauj-e-nafas Hai Ruh Par Bhaari is written by Hurmatul Ikaram. Read famous Poem Wo Aalam Hai Ki Har Mauj-e-nafas Hai Ruh Par Bhaari for youth and Student by Hurmatul Ikaram. Free Download Wo Aalam Hai Ki Har Mauj-e-nafas Hai Ruh Par Bhaari in PDF.