Wo Dil Jo Tha Kisi Ke Gham Ka Mahram Ho Gaya Ruswa
wo dil jo tha kisi ke gham ka mahram ho gaya ruswa
jahan-e-besh-o-kam mein KHwab-e-adam ho gaya ruswa
na chaunka nikhat-e-awara ki rudad par koi
ye kyun afsana-e-parwaz-e-shabnam ho gaya ruswa
dikhai ahl-e-dil ko manzil-e-dar-o-rasan jis ne
tumhaari kaj-kulahi ka wo aalam ho gaya ruswa
amanat sina-e-lala mein kis ki thi na ye puchho
ki sai-e-parda-dari mein mera gham ho gaya ruswa
hai aaine ki hairani bhi afsana-dar-afsana
tere asrar-e-mahjubi ka mahram ho gaya ruswa
pasand aai ghazal ko 'mir' ki aashufta-samani
tera raaz-ashna ai zulf-e-barham ho gaya ruswa
KHabar kya thi ki aansu pi ke bhi jina nahin aasan
ye gham kam hai gudaz-e-shewa-e-gham ho gaya ruswa
basana tha kisi hile se duniya ke KHarabe ko
ye aisi maslahat thi jis pe aadam ho gaya ruswa
ajab tarz-e-mudawa tha hamare chaarasazon ka
ki 'hurmat' irtibaat-e-zaKHm-o-marham ho gaya ruswa
(1069) Peoples Rate This
Fatal error: Uncaught PDOException: SQLSTATE[42S22]: Column not found: 1054 Unknown column 'id' in 'ORDER BY' in /home/darsaal/htdocs/darsaal.com/poetry/poem_en.php:544 Stack trace: #0 /home/darsaal/htdocs/darsaal.com/poetry/poem_en.php(544): PDOStatement->execute() #1 {main} thrown in /home/darsaal/htdocs/darsaal.com/poetry/poem_en.php on line 544
Hurmatul Ikaram