Wo Dil Samo Le Jo Daman Mein Kaenat Ka Karb

wo dil samo le jo daman mein kaenat ka karb

uTha saka na KHud apne tasawwuraat ka karb

nikalna KHuld se aadam ka ban gaya kya chiz

ye zindagi hai ki hai ek wardat ka karb

andhere Daste rahe shama jhilmilati rahi

kahin to kah na saken zindagi ki raat ka karb

panah ke liye KHwabon ki god DhunDhti hai

hayat sah na saki apne tajrabaat ka karb

baDa ajib hai KHud se ye marka apna

kahan har ek se uTTha shikast-e-zat ka karb

hai intizar mein ek inqalab aaKHir ke

zamin liye hue kitne taghayyuraat ka karb

ye jit kam hai ki gham ras aa gaya warna

KHushi KHushi koi jhela hai apni mat ka karb

simaT ke ban gaya honTon pe nala-e-sahari

tamam din ki aziyyat tamam raat ka karb

jigar-gudaz the 'hurmat' kuchh aur gham bhi magar

miTa gaya hamein auj-e-taKHaiyyulat ka karb

(890) Peoples Rate This

Your Thoughts and Comments

Wo Dil Samo Le Jo Daman Mein Kaenat Ka Karb In English By Famous Poet Hurmatul Ikaram. Wo Dil Samo Le Jo Daman Mein Kaenat Ka Karb is written by Hurmatul Ikaram. Read famous Poem Wo Dil Samo Le Jo Daman Mein Kaenat Ka Karb for youth and Student by Hurmatul Ikaram. Free Download Wo Dil Samo Le Jo Daman Mein Kaenat Ka Karb in PDF.