Yagangi Mein Bhi Dukh Ghairiyat Ke Sahta Hun

yagangi mein bhi dukh ghairiyat ke sahta hun

chaman mein sabza-e-begana ban ke rahta hun

teri nigah-e-mohabbat ka aasra pa kar

fasana-e-sitam-e-rozgar kahta hun

azim dhaaron ka ruKH pherne ka azm liye

haqir maujon pe tinke ki tarah bahta hun

hai apne zarf ka maqsud imtihan shayad

tere qarib pahunch kar bhi dur rahta hun

KHud apne se bhi chhupaya hai muddaton jis ko

qarib aao ki tum se wo baat kahta hun

tumhaare bas mein nahin mere zaKHm ka marham

main zindagi ke haqaeq ki choT sahta hun

faraaz-e-dar bhi 'hurmat' hai ek manzil auj

koi maqam ho main sar-buland rahta hun

(896) Peoples Rate This

Your Thoughts and Comments

Yagangi Mein Bhi Dukh Ghairiyat Ke Sahta Hun In English By Famous Poet Hurmatul Ikaram. Yagangi Mein Bhi Dukh Ghairiyat Ke Sahta Hun is written by Hurmatul Ikaram. Read famous Poem Yagangi Mein Bhi Dukh Ghairiyat Ke Sahta Hun for youth and Student by Hurmatul Ikaram. Free Download Yagangi Mein Bhi Dukh Ghairiyat Ke Sahta Hun in PDF.