Hai Mere Gird Yaqinan Kahin Hisar Sa Kuchh

hai mere gird yaqinan kahin hisar sa kuchh

aur us ko bhi hai duaon pe e'tibar sa kuchh

kahin to gosha-e-dil mein ummid baqi hai

kahin hai us ki nazar mein bhi intizar sa kuchh

kaha jab us ne ke aankhon pe e'tibar na kar

to main ne mang liya dil pe iKHtiyar sa kuchh

ye sara khel faqat gardishon ka hai aahang

fuzul DhunD rahe ho yahan qarar sa kuchh

jo le ke aaya tha sailab KHushbuon ka kabhi

wo bhar gaya hai meri aankh mein ghubar sa kuchh

utar chuka hai badan se tamam nasha-e-wasl

chaDha chaDha sa tabiat pe hai KHumar sa kuchh

suna hai ye bhi buzurgi ki ek alamat hai

so main bhi hone laga 'taj' KHaksar sa kuchh

(797) Peoples Rate This

Your Thoughts and Comments

Hai Mere Gird Yaqinan Kahin Hisar Sa Kuchh In English By Famous Poet Husain Taj Rizvi. Hai Mere Gird Yaqinan Kahin Hisar Sa Kuchh is written by Husain Taj Rizvi. Read famous Poem Hai Mere Gird Yaqinan Kahin Hisar Sa Kuchh for youth and Student by Husain Taj Rizvi. Free Download Hai Mere Gird Yaqinan Kahin Hisar Sa Kuchh in PDF.