Dhul-bhari Aandhi Mein Sab Ko Chehra Raushan Rakhna Hai

dhul-bhari aandhi mein sab ko chehra raushan rakhna hai

basti pichhe rah jaegi aage aage sahra hai

ek zara si baat pe us ne dil ka rishta toD diya

hum ne jis ka tanhai mein barson rasta dekha hai

pyar mohabbat aah-o-zari lafzon ki taswiren hain

kis ke pichhe bhag rahe ho dariya bahta rahta hai

phul parinde KHushbu baadal sab us ka saya Thahre

us ne jab se aaine mein ghaur se KHud ko dekha hai

mujh ko KHushbu DhunDne aae mere pichhe chand phire

aaj hawa ne mujh se puchha kya aisa bhi hota hai

kal jo main ne jhank ke dekha us ki nili aankhon mein

us ke dil ka zaKHm to 'majid' sagar se bhi gahra hai

(706) Peoples Rate This

Your Thoughts and Comments

Dhul-bhari Aandhi Mein Sab Ko Chehra Raushan Rakhna Hai In English By Famous Poet Hussain Majid. Dhul-bhari Aandhi Mein Sab Ko Chehra Raushan Rakhna Hai is written by Hussain Majid. Read famous Poem Dhul-bhari Aandhi Mein Sab Ko Chehra Raushan Rakhna Hai for youth and Student by Hussain Majid. Free Download Dhul-bhari Aandhi Mein Sab Ko Chehra Raushan Rakhna Hai in PDF.