Arsh Ke Tare ToD Ke Laen Kawish Log Hazar Karen

arsh ke tare toD ke laen kawish log hazar karen

'mir' ki baat kahan se paen aaKHir ko iqrar karen

aap ise husn-e-talab mat samjhen na kuchh aur shumar karen

sher ek 'mir' faqir ka hum jo aap ke gosh guzar karen

aaj hamare ghar aaya lo kya hai jo tujh pe nisar karen

illa khinch baghal mein tujh ko der talak hum pyar karen

kab ki hamare ishq ki naubat qais se aage ja pahunchi

rasman log abhi tak us marhum ka zikr azkar karen

durj-e-chashm mein ashk ke moti le jaane hain un ke huzur

chokha rang lahu ka de kar aur unhen shahwar karen

din o dil o jaan sab sarmaya jis mein apna sarf hua

ishq ye karobar nahin kya aur jo karobar karen

jitne bhi dil-rish hain us ke sab ko name bhej bula

us be-mehr wafa dushman ki yaadon ka darbar karen

(1525) Peoples Rate This

Your Thoughts and Comments

Arsh Ke Tare ToD Ke Laen Kawish Log Hazar Karen In English By Famous Poet Ibn E Insha. Arsh Ke Tare ToD Ke Laen Kawish Log Hazar Karen is written by Ibn E Insha. Read famous Poem Arsh Ke Tare ToD Ke Laen Kawish Log Hazar Karen for youth and Student by Ibn E Insha. Free Download Arsh Ke Tare ToD Ke Laen Kawish Log Hazar Karen in PDF.