Aur To Koi Bas Na Chalega Hijr Ke Dard Ke Maron Ka
aur to koi bas na chalega hijr ke dard ke maron ka
subh ka hona dubhar kar den rasta rok sitaron ka
jhuTe sikkon mein bhi uTha dete hain ye aksar sachcha mal
shaklen dekh ke saude karna kaam hai in banjaron ka
apni zaban se kuchh na kahenge chup hi rahenge aashiq log
tum se to itna ho sakta hai puchho haal bechaaron ka
jis jipsi ka zikr hai tum se dil ko usi ki khoj rahi
yun to hamare shahr mein aksar mela laga nigaron ka
ek zara si baat thi jis ka charcha pahuncha gali gali
hum gumnamon ne phir bhi ehsan na mana yaron ka
dard ka kahna chiKH hi uTho dil ka kahna waza nibhao
sab kuchh sahna chup chup rahna kaam hai izzat-daron ka
'insha' ji ab ajnabiyon mein chain se baqi umr kaTe
jin ki KHatir basti chhoDi nam na lo un pyaron ka
(1105) Peoples Rate This