Dekh Hamari Did Ke Karan Kaisa Qabil-e-did Hua

dekh hamari did ke karan kaisa qabil-e-did hua

ek sitara baiThe baiThe tabish mein KHurshid hua

aaj to jaani rasta takte sham ka chand padid hua

tu ne to inkar kiya tha dil kab na-ummid hua

aan ke is bimar ko dekhe tujh ko bhi taufiq hui

lab par us ke nam tha tera jab bhi dard shadid hua

han us ne jhalki dikhlai ek hi pal ko dariche mein

jaano ek bijli lahrai aalam ek shahid hua

tu ne hum se kalam bhi chhoDa arz-e-wafa ke sunte hi

pahle kaun qarib tha hum se ab to aur baid hua

duniya ke sab karaj chhoDe nam pe tere 'insha' ne

aur use kya thoDe gham the tera ishq mazid hua

(925) Peoples Rate This

Your Thoughts and Comments

Dekh Hamari Did Ke Karan Kaisa Qabil-e-did Hua In English By Famous Poet Ibn E Insha. Dekh Hamari Did Ke Karan Kaisa Qabil-e-did Hua is written by Ibn E Insha. Read famous Poem Dekh Hamari Did Ke Karan Kaisa Qabil-e-did Hua for youth and Student by Ibn E Insha. Free Download Dekh Hamari Did Ke Karan Kaisa Qabil-e-did Hua in PDF.