Dil Si Chiz Ke Gahak Honge Do Ya Ek Hazar Ke Bich

dil si chiz ke gahak honge do ya ek hazar ke bich

'insha' ji kya mal liye baiThe ho tum bazar ke bich

pina-pilana ain gunah hai ji ka lagana ain hawas

aap ki baaten sab sachchi hain lekin bhari bahaar ke bich

ai saKHiyo ai KHush-nazro yak guna karam KHairaat karo

nara-zanan kuchh log phiren hain subh se shahr-e-nigar ke bich

KHar-o-KHas-o-KHashak to jaanen ek tujhi ko KHabar na mile

ai gul-e-KHubi hum to abas badnam hue gulzar ke bich

minnat-e-qasid kaun uThae shikwa-e-darban kaun kare

nama-e-shauq ghazal ki surat chhapne ko do aKHbar ke bich

(910) Peoples Rate This

Your Thoughts and Comments

Dil Si Chiz Ke Gahak Honge Do Ya Ek Hazar Ke Bich In English By Famous Poet Ibn E Insha. Dil Si Chiz Ke Gahak Honge Do Ya Ek Hazar Ke Bich is written by Ibn E Insha. Read famous Poem Dil Si Chiz Ke Gahak Honge Do Ya Ek Hazar Ke Bich for youth and Student by Ibn E Insha. Free Download Dil Si Chiz Ke Gahak Honge Do Ya Ek Hazar Ke Bich in PDF.