Hamein Tum Pe Guman-e-wahshat Tha Hum Logon Ko Ruswa Kiya Tumne

hamein tum pe guman-e-wahshat tha hum logon ko ruswa kiya tum ne

abhi fasl gulon ki nahin guzri kyun daman-e-chaak siya tum ne

is shahr ke log baDe hi saKHi baDa man karen durweshon ka

par tum se to itne barham hain kya aan ke mang liya tum ne

kin rahon se ho kar aai ho kis gul ka sandesa lai ho

hum bagh mein KHush KHush baiThe the kya kar diya aa ke saba tum ne

wo jo qais gharib the un ka junun sabhi kahte hain hum se raha hai fuzun

hamein dekh ke hans to diya tum ne kabhi dekhe hain ahl-e-wafa tum ne

gham-e-ishq mein kari dawa na dua ye hai rog kaThin ye hai dard bura

hum karte jo apne se ho sakta kabhi hum se bhi kuchh na kaha tum ne

ab rah-raw-e-manda se kuchh na kaho han shad raho aabaad raho

baDi der se yaad kiya tum ne baDi dard se di hai sada tum ne

ek baat kahenge 'insha'-ji tumhein reKHta kahte umr hui

tum ek jahan ka ilm paDhe koi 'mir' sa sher kaha tum ne

(1066) Peoples Rate This

Your Thoughts and Comments

Hamein Tum Pe Guman-e-wahshat Tha Hum Logon Ko Ruswa Kiya Tumne In English By Famous Poet Ibn E Insha. Hamein Tum Pe Guman-e-wahshat Tha Hum Logon Ko Ruswa Kiya Tumne is written by Ibn E Insha. Read famous Poem Hamein Tum Pe Guman-e-wahshat Tha Hum Logon Ko Ruswa Kiya Tumne for youth and Student by Ibn E Insha. Free Download Hamein Tum Pe Guman-e-wahshat Tha Hum Logon Ko Ruswa Kiya Tumne in PDF.