Insha-ji UTho Ab Kuch Karo Is Shahr Mein Ji Ko Lagana Kya

'insha'-ji uTho ab kuch karo is shahr mein ji ko lagana kya

wahshi ko sukun se kya matlab jogi ka nagar mein Thikana kya

is dil ke darida daman ko dekho to sahi socho to sahi

jis jholi mein sau chhed hue us jholi ka phailana kya

shab biti chand bhi Dub chala zanjir paDi darwaze mein

kyun der gae ghar aae ho sajni se karoge bahana kya

phir hijr ki lambi raat miyan sanjog ki to yahi ek ghaDi

jo dil mein hai lab par aane do sharmana kya ghabrana kya

us roz jo un ko dekha hai ab KHwab ka aalam lagta hai

us roz jo un se baat hui wo baat bhi thi afsana kya

us husn ke sachche moti ko hum dekh saken par chhu na saken

jise dekh saken par chhu na saken wo daulat kya wo KHazana kya

us ko bhi jala dukhte hue man ek shoala lal bhabuka ban

yun aansu ban bah jaana kya yun maTi mein mil jaana kya

jab shahr ke log na rasta den kyun ban mein na ja bisram kare

diwanon ki si na baat kare to aur kare diwana kya

(1486) Peoples Rate This

Your Thoughts and Comments

Insha-ji UTho Ab Kuch Karo Is Shahr Mein Ji Ko Lagana Kya In English By Famous Poet Ibn E Insha. Insha-ji UTho Ab Kuch Karo Is Shahr Mein Ji Ko Lagana Kya is written by Ibn E Insha. Read famous Poem Insha-ji UTho Ab Kuch Karo Is Shahr Mein Ji Ko Lagana Kya for youth and Student by Ibn E Insha. Free Download Insha-ji UTho Ab Kuch Karo Is Shahr Mein Ji Ko Lagana Kya in PDF.