Is Shahr Ke Logon Pe KHatm Sahi KHush-talati-o-gul-pairahni

is shahr ke logon pe KHatm sahi KHush-talati-o-gul-pairahni

mere dil ki to pyas kabhi na bujhi mere ji ki to baat kabhi na bani

abhi kal hi ki baat hai jaan-e-jahan yahan fil ke fil the shor-kunan

ab nara-e-ishq na zarb-e-fughan gae kaun nagar wo wafa ke dhani

koi aur bhi morid-e-lutf hua mili ahl-e-hawas ko hawas ki saza

tere shahr mein the hamin ahl-e-wafa mili ek hamin ko jala-watani

ye to sach hai ki hum tujhe pa na sake teri yaad bhi ji se bhula na sake

tera dagh hai dil mein charagh-e-sifat tere nam ki zeb-e-gulu-kafni

tum saKHti-e-rah ka gham na karo har daur ki rah mein ham-safaro

jahan dasht-e-KHizan wahin wadi-e-gul jahan dhup kaDi wahan chhanw ghani

is ishq ke dard ki kaun dawa magar ek wazifa hai ek dua

paDho 'mir'-o-'kabir' ke bait kabit suno sher-e-'nazir' faqir-o-ghani

(824) Peoples Rate This

Your Thoughts and Comments

Is Shahr Ke Logon Pe KHatm Sahi KHush-talati-o-gul-pairahni In English By Famous Poet Ibn E Insha. Is Shahr Ke Logon Pe KHatm Sahi KHush-talati-o-gul-pairahni is written by Ibn E Insha. Read famous Poem Is Shahr Ke Logon Pe KHatm Sahi KHush-talati-o-gul-pairahni for youth and Student by Ibn E Insha. Free Download Is Shahr Ke Logon Pe KHatm Sahi KHush-talati-o-gul-pairahni in PDF.