Jangal Jangal Shauq Se Ghumo Dasht Ki Sair Mudam Karo

jangal jangal shauq se ghumo dasht ki sair mudam karo

'insha'-ji hum pas bhi lekin raat ki raat qayam karo

ashkon se apne dil ko hikayat daman par irqam karo

ishq mein jab yahi kaam hai yar wale ke KHuda ka nam karo

kab se khaDe hain bar mein KHiraj-e-ishq ke liye sar-e-rah-guzar

ek nazar se sada-raKHu hum sada-dilon ko ghulam karo

dil ki mataa to luT rahe ho husn ki di hai zakat kabhi

roz-e-hisab qarib hai logo kuchh to sawab ka kaam karo

'mir' se baiat ki hai to 'insha' mir ki baiat bhi hai zarur

sham ko ro ro subh karo ab subh ko ro ro sham karo

(834) Peoples Rate This

Your Thoughts and Comments

Jangal Jangal Shauq Se Ghumo Dasht Ki Sair Mudam Karo In English By Famous Poet Ibn E Insha. Jangal Jangal Shauq Se Ghumo Dasht Ki Sair Mudam Karo is written by Ibn E Insha. Read famous Poem Jangal Jangal Shauq Se Ghumo Dasht Ki Sair Mudam Karo for youth and Student by Ibn E Insha. Free Download Jangal Jangal Shauq Se Ghumo Dasht Ki Sair Mudam Karo in PDF.