Kuchh Kahne Ka Waqt Nahin Ye Kuchh Na Kaho KHamosh Raho

kuchh kahne ka waqt nahin ye kuchh na kaho KHamosh raho

ai logo KHamosh raho han ai logo KHamosh raho

sach achchha par us ke jilau mein zahr ka hai ek pyala bhi

pagal ho kyun nahaq ko suqraat bano KHamosh raho

un ka ye kahna suraj hi dharti ke phere karta hai

sar-ankhon par suraj hi ko ghumne do KHamosh raho

mahbas mein kuchh habs hai aur zanjir ka aahan chubhta hai

phir socho han phir socho han phir socho KHamosh raho

garm aansu aur ThanDi aahen man mein kya kya mausam hain

is bagiya ke bhed na kholo sair karo KHamosh raho

aankhen mund kinare baiTho man ke rakkho band kiwaD

'insha'-ji lo dhaga lo aur lab si lo KHamosh raho

(1567) Peoples Rate This

Your Thoughts and Comments

Kuchh Kahne Ka Waqt Nahin Ye Kuchh Na Kaho KHamosh Raho In English By Famous Poet Ibn E Insha. Kuchh Kahne Ka Waqt Nahin Ye Kuchh Na Kaho KHamosh Raho is written by Ibn E Insha. Read famous Poem Kuchh Kahne Ka Waqt Nahin Ye Kuchh Na Kaho KHamosh Raho for youth and Student by Ibn E Insha. Free Download Kuchh Kahne Ka Waqt Nahin Ye Kuchh Na Kaho KHamosh Raho in PDF.