Log Hilal-e-sham Se BaDh Kar Pal Mein Mah-e-tamam Hue

log hilal-e-sham se baDh kar pal mein mah-e-tamam hue

hum har burj mein ghaTte ghaTte subh talak gumnam hue

un logon ki baat karo jo ishq mein KHush-anjam hue

najd mein qais yahan par 'insha' KHar hue nakaam hue

kis ka chamakta chehra laen kis suraj se mangen dhup

ghur andhera chha jata hai KHalwat-e-dil mein sham hue

ek se ek junun ka mara is basti mein rahta hai

ek hamin hushiyar the yaro ek hamin bad-nam hue

shauq ki aag nafas ki garmi ghaTte ghaTte sard na ho

chah ki rah dikha kar tum to waqf-e-daricha-o-baam hue

un se bahaar o bagh ki baaten kar ke ji ko dukhana kya

jin ko ek zamana guzra kunj-e-qafas mein ram hue

'insha'-sahib pau phaTti hai tare Dube subh hui

baat tumhaari man ke hum to shab bhar be-aram hue

(932) Peoples Rate This

Your Thoughts and Comments

Log Hilal-e-sham Se BaDh Kar Pal Mein Mah-e-tamam Hue In English By Famous Poet Ibn E Insha. Log Hilal-e-sham Se BaDh Kar Pal Mein Mah-e-tamam Hue is written by Ibn E Insha. Read famous Poem Log Hilal-e-sham Se BaDh Kar Pal Mein Mah-e-tamam Hue for youth and Student by Ibn E Insha. Free Download Log Hilal-e-sham Se BaDh Kar Pal Mein Mah-e-tamam Hue in PDF.