Raaz Kahan Tak Raaz Rahega Manzar-e-am Pe Aaega

raaz kahan tak raaz rahega manzar-e-am pe aaega

ji ka dagh ujagar ho kar suraj ko sharmaega

shahron ko viran karega apni aanch ki tezi se

viranon mein mast albele wahshi phul khilaega

han yahi shaKHs gudaz aur nazuk honTon par muskan liye

ai dil apne hath lagate patthar ka ban jaega

dida o dil ne dard ki apne baat bhi ki to kis se ki

wo to dard ka bani Thahra wo kya dard baTaega

tera nur zuhur salamat ek din tujh par mah-e-tamam

chand-nagar ka rahne wala chand-nagar likh jaega

(877) Peoples Rate This

Your Thoughts and Comments

Raaz Kahan Tak Raaz Rahega Manzar-e-am Pe Aaega In English By Famous Poet Ibn E Insha. Raaz Kahan Tak Raaz Rahega Manzar-e-am Pe Aaega is written by Ibn E Insha. Read famous Poem Raaz Kahan Tak Raaz Rahega Manzar-e-am Pe Aaega for youth and Student by Ibn E Insha. Free Download Raaz Kahan Tak Raaz Rahega Manzar-e-am Pe Aaega in PDF.