Sab Ko Dil Ke Dagh Dikhae Ek Tujhi Ko Dikha Na Sake

sab ko dil ke dagh dikhae ek tujhi ko dikha na sake

tera daman dur nahin tha hath hamin phaila na sake

tu ai dost kahan le aaya chehra ye KHurshid-misal

sine mein aabaad karenge aankhon mein to sama na sake

na tujh se kuchh hum ko nisbat na tujh ko kuchh hum se kaam

hum ko ye malum tha lekin dil ko ye samjha na sake

ab tujh se kis munh se kah den sat samundar par na ja

bich ki ek diwar bhi hum to phand na pae Dha na sake

man papi ki ujDi kheti sukhi ki sukhi hi rahi

umDe baadal garje baadal bunden do barsa na sake

(1407) Peoples Rate This

Your Thoughts and Comments

Sab Ko Dil Ke Dagh Dikhae Ek Tujhi Ko Dikha Na Sake In English By Famous Poet Ibn E Insha. Sab Ko Dil Ke Dagh Dikhae Ek Tujhi Ko Dikha Na Sake is written by Ibn E Insha. Read famous Poem Sab Ko Dil Ke Dagh Dikhae Ek Tujhi Ko Dikha Na Sake for youth and Student by Ibn E Insha. Free Download Sab Ko Dil Ke Dagh Dikhae Ek Tujhi Ko Dikha Na Sake in PDF.