Sham-e-gham Ki Sahar Nahin Hoti

sham-e-gham ki sahar nahin hoti

ya hamin ko KHabar nahin hoti

hum ne sab dukh jahan ke dekhe hain

bekali is qadar nahin hoti

nala yun na-rasa nahin rahta

aah yun be-asar nahin hoti

chand hai kahkashan hai tare hain

koi shai nama-bar nahin hoti

ek jaan-soz o na-murad KHalish

is taraf hai udhar nahin hoti

dosto ishq hai KHata lekin

kya KHata darguzar nahin hoti

raat aa kar guzar bhi jati hai

ek hamari sahar nahin hoti

be-qarari sahi nahin jati

zindagi muKHtasar nahin hoti

ek din dekhne ko aa jate

ye hawas umr bhar nahin hoti

husn sab ko KHuda nahin deta

har kisi ki nazar nahin hoti

dil piyala nahin gadai ka

aashiqi dar-ba-dar nahin hoti

(1583) Peoples Rate This

Your Thoughts and Comments

Sham-e-gham Ki Sahar Nahin Hoti In English By Famous Poet Ibn E Insha. Sham-e-gham Ki Sahar Nahin Hoti is written by Ibn E Insha. Read famous Poem Sham-e-gham Ki Sahar Nahin Hoti for youth and Student by Ibn E Insha. Free Download Sham-e-gham Ki Sahar Nahin Hoti in PDF.