Sunte Hain Phir Chhup Chhup Un Ke Ghar Mein Aate Jate Ho

sunte hain phir chhup chhup un ke ghar mein aate jate ho

'insha' sahab nahaq ji ko wahshat mein uljhate ho

dil ki baat chhupani mushkil lekin KHub chhupate ho

ban mein dana shahr ke andar diwane kahlate ho

bekal bekal rahte ho par mahfil ke aadab ke sath

aankh chura kar dekh bhi lete bhole bhi ban jate ho

pit mein aise lakh jatan hain lekin ek din sab nakaam

aap jahan mein ruswa hoge waz hamein farmate ho

hum se nam junun ka qaim hum se dasht ki aabaadi

hum se dard ka shikwa karte hum ko zaKHm dikhate ho

(984) Peoples Rate This

Your Thoughts and Comments

Sunte Hain Phir Chhup Chhup Un Ke Ghar Mein Aate Jate Ho In English By Famous Poet Ibn E Insha. Sunte Hain Phir Chhup Chhup Un Ke Ghar Mein Aate Jate Ho is written by Ibn E Insha. Read famous Poem Sunte Hain Phir Chhup Chhup Un Ke Ghar Mein Aate Jate Ho for youth and Student by Ibn E Insha. Free Download Sunte Hain Phir Chhup Chhup Un Ke Ghar Mein Aate Jate Ho in PDF.