Chand Ke Tamannai

shahr-e-dil ki galiyon mein

sham se bhaTakte hain

chand ke tamannai

be-qarar saudai

dil-gudaz tariki

ruh-o-jaan ko Dasti hai

ruh-o-jaan mein basti hai

shahr-e-dil ki galiyon mein

tak shab ki belon par

shabnamin sarishkon ki

be-qarar logon ne

be-shumar logon ne

yaadgar chhoDi hai

itni baat thoDi hai

sad hazar baaten thin

hila-e-shakebai

suraton ki zebai

qamaton ki ranai

in siyah raaton mein

ek bhi na yaad aai

ja-ba-ja bhaTakte hain

kis ki rah takte hain

chand ke tamannai

ye nagar kabhi pahle

is qadar na viran tha

kahne wale kahte hain

qarya-e-nigaran tha

KHair apne jine ka

ye bhi ek saman tha

aaj dil mein virani

abr ban ke ghir aai

aaj dil ko kya kahiye

ba-wafa na harjai

phir bhi log diwane

aa gae hain samjhane

apni wahshat-e-dil ke

bun liye hain afsane

KHush-KHayal duniya ne

garmiyan to jati hain

wo ruten bhi aatin hain

jab malul raaton mein

doston ki baaton mein

ji na chain paega

aur ub jaega

aahaTon se gunjegi

shahr-e-dil ki pahnai

aur chand raaton mein

chandni ke shaidai

har bahane niklenge

aazmane niklenge

aarzu ki gahrai

DhunDne ko ruswai

sard sard raaton ko

zard chand baKHshega

be-hisab tanhai

be-hijab tanhai

shahr-e-dil ki galiyon mein

(2532) Peoples Rate This

Your Thoughts and Comments

Chand Ke Tamannai In English By Famous Poet Ibn E Insha. Chand Ke Tamannai is written by Ibn E Insha. Read famous Poem Chand Ke Tamannai for youth and Student by Ibn E Insha. Free Download Chand Ke Tamannai in PDF.