Darwaza Khula Rakhna

dil dard ki shiddat se KHun-gashta o si-para

is shahr mein phirta hai ek wahshi-o-awara

shaer hai ki aashiq hai, jogi hai ki banjara

darwaza khula rakhna

sine se ghaTa uTThe aankhon se jhaDi barse

phagun ka nahin baadal, jo chaar-ghaDi barse

barkha hai ye bhadon ki, barse to baDi barse

darwaza khula rakhna

aankhon mein to ek aalam aankhon mein to duniya hai

honTon pe magar mohren munh se nahin kahta hai

kis chiz ko kho baiTha kya DhunDne nikla hai

darwaza khula rakhna

han tham mohabbat ki gar tham sake Dori

sajan hai tera sajan ab tujh se to kya chori

ye jis ki munadi hai basti mein teri gori

darwaza khula rakhna

shikwon ko uTha rakhna, aankhon ko bichha rakhna

ek shama dariche ki chaukhaT pe jala rakhna

mayus na phir jae, han pas-e-wafa rakhna

darwaza khula rakhna

darwaza khula rakhna

(1990) Peoples Rate This

Your Thoughts and Comments

Darwaza Khula Rakhna In English By Famous Poet Ibn E Insha. Darwaza Khula Rakhna is written by Ibn E Insha. Read famous Poem Darwaza Khula Rakhna for youth and Student by Ibn E Insha. Free Download Darwaza Khula Rakhna in PDF.