Kuchh De Ise RuKHsat Kar

kuchh de ise ruKHsat kar kyun aankh jhuka li hai

han dar pe tere maula! 'insha' bhi sawali hai

is baat pe kyun is ki itna bhi hijab aae

fariyaad se be-bahra kashkol se KHali hai

shaer hai to adna hai, aashiq hai to ruswa hai

kis baat mein achchha hai kis wasf mein aali hai

kis din ka murshid hai, kis kesh ka mojid hai

kis shahr ka shahna hai kis des ka wali hai?

tazim ko uThte hain is waste dil wale

hazrat ne mashiKHat ki ek tarah nikali hai

aawara o sargardan kafani-ba-gulu-pechan

daman bhi durida hai gudDi bhi sambhaali hai

aawara hai rahon mein, duniya ki nigahon mein

izzat bhi miTa li hai tamkin bhi ganwa li hai

aadab se begana, dar aaya hai diwana

ne hath mein tohfa hai, ne sath mein Dali hai

baKHshish mein tammul hai aur aankh jhuka li hai

kuchh dar pe tere maula, ye baat nirali hai

'insha' ko bhi ruKHsat kar, 'insha' ko bhi kuchh de de

'insha' se hazaron hain, 'insha' bhi sawali hai

(1246) Peoples Rate This

Your Thoughts and Comments

Kuchh De Ise RuKHsat Kar In English By Famous Poet Ibn E Insha. Kuchh De Ise RuKHsat Kar is written by Ibn E Insha. Read famous Poem Kuchh De Ise RuKHsat Kar for youth and Student by Ibn E Insha. Free Download Kuchh De Ise RuKHsat Kar in PDF.