Lab Par Nam Kisi Ka Bhi Ho

lab par nam kisi ka bhi ho, dil mein tera naqsha hai

ai taswir banane wali jab se tujh ko dekha hai

be-tere kya wahshat hum ko, tujh bin kaisa sabr o sukun

tu hi apna shahr hai jaani tu hi apna sahra hai

nile parbat udi dharti, chaaron kuT mein tu hi tu

tujh se apne ji ki KHalwat tujh se man ka mela hai

aaj to hum bikne ko aae, aaj hamare dam laga

yusuf to bazar-e-wafa mein, ek Tike ko bikta hai

le jaani ab apne man ke pairahan ki girhen khol

le jaani ab aadhi shab hai, chaar taraf sannaTa hai

tufanon ki baat nahin hai, tufan aate jate hain

tu ek narm hawa ka jhonka, dil ke bagh mein Thahra hai

ya tu aaj hamein apna le, ya tu aaj hamara ban

dekh ki waqt guzarta jae kaun abad tak jita hai

farda mahz fusun ka parda, hum to aaj ke bande hain

hijr o wasl, wafa aur dhoka sab kuchh aaj pe rakkha hai

(906) Peoples Rate This

Your Thoughts and Comments

Lab Par Nam Kisi Ka Bhi Ho In English By Famous Poet Ibn E Insha. Lab Par Nam Kisi Ka Bhi Ho is written by Ibn E Insha. Read famous Poem Lab Par Nam Kisi Ka Bhi Ho for youth and Student by Ibn E Insha. Free Download Lab Par Nam Kisi Ka Bhi Ho in PDF.