Ye Baaten JhuTi Baaten Hain

ye baaten jhuTi baaten hain ye logon ne phailai hain

tum 'insha'-ji ka nam na lo kya 'insha'-ji saudai hain

hain lakhon rog zamane mein kyun ishq hai ruswa be-chaara

hain aur bhi wajhen wahshat ki insan ko rakhtin dukhiyara

han be-kal be-kal rahta hai ho pit mein jis ne ji haara

par sham se le kar subh talak yun kaun phirega aawara

ye baaten jhuTi baaten ye logon ne phailain hain

tum 'insha'-ji ka nam na lo kya 'insha'-ji saudai hain

ye baat ajib sunate ho wo duniya se be-as hue

ek nam suna aur ghash khaya ek zikr pe aap udas hue

wo ilm mein aflatun sune wo sher mein tulsidas hue

wo tis baras ke hote hain wo B-A MA pas hue

ye baaten jhuTi baaten hain ye logon ne phailai hain

tum 'insha'-ji ka nam na lo kya 'insha'-ji saudai hain

gar ishq kiya hai tab kya hai kyun shad nahin aabaad nahin

jo jaan liye bin Tal na sake ye aisi bhi uftad nahin

ye baat to tum bhi manoge wo 'qais' nahin farhad nahin

kya hijr ka daru mushkil hai kya wasl ke nusKHe yaad nahin

ye baaten jhuTi baaten hain ye logon ne phailai hain

tum 'insha'-ji ka nam na lo kya 'insha'-ji saudai hain

wo laDki achchhi laDki hai tum nam na lo hum jaan gae

wo jis ke lambe gesu hain pahchan gae pahchan gae

han sath hamare 'insha' bhi is ghar mein the mehman gae

par us se to kuchh baat na ki anjaan rahe anjaan gae

ye baaten jhuTi baaten hain ye logon ne phailai hain

tum 'insha'-ji ka nam na lo kya 'insha'-ji saudai hain

jo hum se kaho hum karte hain kya 'insha' ko samjhana hai

us laDki se bhi kah lenge go ab kuchh aur zamana hai

ya chhoDen ya takmil karen ye ishq hai ya afsana hai

ye kaisa gorakh-dhanda hai ye kaisa tana-bana hai

ye baaten kaisi baaten hain jo logon ne phailai hain

tum 'insha'-ji ka nam na lo kya 'insha'-ji saudai hain

(1239) Peoples Rate This

Your Thoughts and Comments

Ye Baaten JhuTi Baaten Hain In English By Famous Poet Ibn E Insha. Ye Baaten JhuTi Baaten Hain is written by Ibn E Insha. Read famous Poem Ye Baaten JhuTi Baaten Hain for youth and Student by Ibn E Insha. Free Download Ye Baaten JhuTi Baaten Hain in PDF.