Ye Bachcha Kis Ka Bachcha Hai

1

ye bachcha kaisa bachcha hai

ye bachcha kala kala sa

ye kala sa maTiyala sa

ye bachcha bhuka bhuka sa

ye bachcha sukha sukha sa

ye bachcha kis ka bachcha hai

ye bachcha kaisa bachcha hai

jo ret pe tanha baiTha hai

na is ke peT mein roTi hai

na is ke tan par kapDa hai

na is ke sar par Topi hai

na is ke pair mein juta hai

na is ke pas khilaunon mein

koi bhaalu hai, koi ghoDa hai

na is ka ji bahlane ko

koi lori hai, koi jhula hai

na is ki jeb mein dhela hai

na is ke hath mein paisa hai

na is ke ammi abbu hain

na is ki aapa KHala hai

ye sare jag mein tanha hai

ye bachcha kaisa bachcha hai

2

ye sahra kaisa sahra hai

na is sahra mein baadal hai

na is sahra mein barkha hai

na is sahra mein baali hai

na is sahra mein KHosha hai

na is sahra mein sabza hai

na is sahra mein saya hai

ye sahra bhuk ka sahra hai

ye sahra maut ka sahra hai

3

ye bachcha kaise baiTha hai

ye bachcha kab se baiTha hai

ye bachcha kya kuchh puchhta hai

ye bachcha kya kuchh kahta hai

ye duniya kaisi duniya hai

ye duniya kis ki duniya hai

4

is duniya ke kuchh TukDon mein

kahin phul khile kahin sabza hai

kahin baadal ghir ghir aate hain

kahin chashma hai kahin dariya hai

kahin unche mahl aTariyan hain

kahin mahfil hai kahin mela hai

kahin kapDon ke bazar saje

ye resham hai ye diba hai

kahin ghalle ke ambar lage

sab gehun dhan muhayya hai

kahin daulat ke sanduq bhare

han tanba sona rupa hai

tum jo mango so hazir hai

tum jo chaho so milta hai

is bhuk ke dukh ki duniya mein

ye kaisa sukh ka sapna hai

wo kis dharti ke TukDe hain

ye kis duniya ka hissa hai

5

hum jis aadam ke beTe hain

ye us aadam ka beTa hai

ye aadam ek hi aadam hai

ye gora hai ya kala hai

ye dharti ek hi dharti hai

ye duniya ek hi duniya hai

sab ek data ke bande hain

sab bandon ka ek data hai

kuchh purab pachchham farq nahin

is dharti par haq sab ka hai

6

ye tanha bachcha be-chaara

ye bachcha jo yahan baiTha hai

is bachche ki kahin bhuk miTe

(kya mushkil hai ho sakta hai)

is bachche ko kahin dudh mile

(han dudh yahan bahtera hai)

is bachche ka koi tan Dhanke

(kya kapDon ka yahan toDa hai)

is bachche ko koi god mein le

(insan jo ab tak zinda hai)

phir dekhe kaisa bachcha hai

ye kitna pyara bachcha hai

7

is jag mein sab kuchh rab ka hai

jo rab ka hai wo sab ka hai

sab apne hain koi ghair nahin

har chiz mein sab ka sajha hai

jo baDhta hai jo ugta hai

wo dana hai ya mewa hai

jo kapDa hai jo kambal hai

jo chandi hai jo sona hai

wo sara hai is bachche ka

jo tera hai jo mera hai

ye bachcha kis ka bachcha hai

ye bachcha sab ka bachcha hai!

(1885) Peoples Rate This

Your Thoughts and Comments

Ye Bachcha Kis Ka Bachcha Hai In English By Famous Poet Ibn E Insha. Ye Bachcha Kis Ka Bachcha Hai is written by Ibn E Insha. Read famous Poem Ye Bachcha Kis Ka Bachcha Hai for youth and Student by Ibn E Insha. Free Download Ye Bachcha Kis Ka Bachcha Hai in PDF.