Ye Sarae Hai

ye sarae hai yahan kis ka Thikana DhunDo

yan to aate hain musafir so chale jate hain

han yahi nam tha kuchh aisa hi chehra-mohra

yaad paDta hai ki aaya tha musafir koi

sune aangan mein phira karta tha tanha tanha

kitni gahri thi nigahon ki udasi us ki

log kahte the ki hoga koi aaseb-zada

hum ne aisi bhi koi baat na dekhi us mein

ye bhi himmat na hui pas biTha ke puchhen

dil ye kahta tha koi dard ka mara hoga

lauT aaya hai jo aawaz na us ki pai

jaane kis dar pe kise ja ke pukara hoga

yan to har roz ki baaten hain ye jiten maten

ye bhi chahat ke kisi khel mein haara hoga

ek taswir kuchh aap se milti julti

ek tahrir thi par us ka to qissa chhoDen

chand ghazlen thin ki likkhen kabhi likh kar kaTen

sher achchhe the jo sun lo to kaleja thamo

bas yahi mal musafir ka tha hum ne dekha

jaane kis rah mein kis shaKHs ne luTa us ko

guzra karte hain sulagte hue baqi ayyam

log jab aag lagate hain bujhate bhi bhi nahin

ajnabi pit ke maron se kasi ko kya kaam

bastiyon wale kabhi naz uThate bhi nahin

chhin lete hain kisi shaKHs ke ji ka aaram

phir bulate bhi nahin pas biThate bhi nahin

ek din subh jo dekha to sarae mein na tha

jaane kis des gaya hai wo diwana DhunDo!!

hum se puchho to na aaega wo jaane wala

tum to nahaq ko bhaTakne ka bahana DhunDo

yan to aaya jo musafir yun hi shab-bhar Thahra

ye sarae hai yahan kis ka Thikana DhunDo

(1253) Peoples Rate This

Your Thoughts and Comments

Ye Sarae Hai In English By Famous Poet Ibn E Insha. Ye Sarae Hai is written by Ibn E Insha. Read famous Poem Ye Sarae Hai for youth and Student by Ibn E Insha. Free Download Ye Sarae Hai in PDF.