Dil Wahi Ashk-bar Rahta Hai

dil wahi ashk-bar rahta hai

gham se jo ham-kanar rahta hai

main ne dekha KHirad ke kandhon par

ek junun sa sawar rahta hai

lab tabassum mein ho gae mashshaq

dil magar sogwar rahta hai

ek lamhe bhi soch lun un ko

muddaton ek KHumar rahta hai

dil rahe be-kali ke ghere mein

zehn pe tu sawar rahta hai

tere KHwabon ki lat lagi jab se

raat ka intizar rahta hai

sach ke dhage se jo bane rishta

umr bhar ustuwar rahta hai

tere dil ne bhi paDh liya kalma

jis mein ye gunahgar rahta hai

jab se joDa hai aap se rishta

daman-e-tar, tar rahta hai

wo tasawwur mein ek ghaDi aaen

der tak dil bahaar rahta hai

chand se is liye hai pyar mujhe

ye bhi yaron ka yar rahta hai

ghar mein aate hi mah-jabin ne kaha

yan to aKHtar shumar rahta hai

ab to kar Daliye wafa us ko

wo jo wada udhaar rahta hai

ek taraf gardishen zamane ki

ek taraf tera pyar rahta hai

tere dar se juDa hua muflis

ishq mein mal-dar rahta hai

man ne de di dua to hashr talak

us ka bandha hisar rahta hai

dil mein sajde kiya karo 'mufti'

is mein parwardigar rahta hai

(744) Peoples Rate This

Your Thoughts and Comments

Dil Wahi Ashk-bar Rahta Hai In English By Famous Poet Ibn-e-Mufti. Dil Wahi Ashk-bar Rahta Hai is written by Ibn-e-Mufti. Read famous Poem Dil Wahi Ashk-bar Rahta Hai for youth and Student by Ibn-e-Mufti. Free Download Dil Wahi Ashk-bar Rahta Hai in PDF.