Ghalat-fahmi Ki Sarhad Par Kar Ke

ghalat-fahmi ki sarhad par kar ke

miTa do fasle isar kar ke

ye karobar bhi kab ras aaya

KHasare mein rahe hum pyar kar ke

lagin sadiyan banane mein jo rishte

wo ek pal mein chale mismar kar ke

gale mil kar hi duri dur hogi

milega kya hamein takrar kar ke

sage bhai bhi ab ek chhat ke niche

wo rahte hain magar diwar kar ke

masail hain ki baDhte ja rahe hain

gulon ka barmala izhaar kar ke

ganwa di izzat-e-sadat 'mufti'

mohabbat mein nigahen chaar kar ke

(1143) Peoples Rate This

Your Thoughts and Comments

Ghalat-fahmi Ki Sarhad Par Kar Ke In English By Famous Poet Ibn-e-Mufti. Ghalat-fahmi Ki Sarhad Par Kar Ke is written by Ibn-e-Mufti. Read famous Poem Ghalat-fahmi Ki Sarhad Par Kar Ke for youth and Student by Ibn-e-Mufti. Free Download Ghalat-fahmi Ki Sarhad Par Kar Ke in PDF.