Shauq Jab Bhi Bandagi Ka Rahnuma Hota Nahin
shauq jab bhi bandagi ka rahnuma hota nahin
zindagi se zindagi ka haq ada hota nahin
kya samajh aaengi tum ko ishq ki barikiyan
dil tumhaara jab talak dard-ashna hota nahin
ruh o tan ka ishq ye qaem rahega daimi
KHatm baad-e-marg bhi ye silsila hota nahin
kaun hai jo jurm karne ko hai shab ka muntazir
raushni mein din ki yaro kya bhala hota nahin
ghaaliban hota mujhe bhi ghar ke girne ka gila
rahgiron ka agar ye rasta hota nahin
bad-gumani ki faza mein kya safai den tumhein
is faza mein koi bhi hal masala hota nahin
ek zara si baat pe ye munh banana ruThna
is tarah to koi apnon se KHafa hota nahin
koi gustaKHi to ki hai naw ne girdab se
warna yun sahil pe koi gham-zada hota nahin
kamra-e-taqdir mein aati urus-e-arzu
waqt-e-na-hanjar ka jo faisla hota nahin
aankh se pine ka bhi saqi ne manga hai hisab
is rawish se yaro koi mai-kada hota nahin
'mufti' dekho mahr palTa hai meri taqdir ka
dekhte hain kis tarah sajda ada hota nahin
(1026) Peoples Rate This