Wo KHwab Jaisa Tha Goya Sarab Lagta Tha

wo KHwab jaisa tha goya sarab lagta tha

hasin aisa ki faKHr-e-gulab lagta tha

halim aisa ki diwani ek duniya thi

ki us se hath milana sawab lagta tha

nibhana rishton ka nazuk kaThin amal nikla

jo dekhne mein to sidha hisab lagta tha

surahi-dar thi gardan nasha bhare aariz

sarapa us ka mujassam sharab lagta tha

wo bolta to faza naghmagi mein rach jati

gale mein ho koi us ke rabab lagta tha

kahani ek nai deti honT ki jumbish

wo lab jo kholta goya kitab lagta tha

wo shaKHs aaj gurezan hai sae se mere

jise pasina bhi mera gulab lagta tha

amal mein feal mein us ke tazad tha 'mufti'

agarche dil mein utarta KHitab lagta tha

(963) Peoples Rate This

Your Thoughts and Comments

Wo KHwab Jaisa Tha Goya Sarab Lagta Tha In English By Famous Poet Ibn-e-Mufti. Wo KHwab Jaisa Tha Goya Sarab Lagta Tha is written by Ibn-e-Mufti. Read famous Poem Wo KHwab Jaisa Tha Goya Sarab Lagta Tha for youth and Student by Ibn-e-Mufti. Free Download Wo KHwab Jaisa Tha Goya Sarab Lagta Tha in PDF.