Ajab Hai Khel Carrom Ka

safed aur siyah goTon ke hasin ek daere andar

bahut hi surKH rangat ki hasin ek goT hoti hai

ki jis ko rani kahte hain

har ek khelne wale ki bas ek hi tamanna hai

isi carrom ke konon mein jo chhoTe chhoTe kamre hain

unhen aabaad karna hai kanizon se aur rani se

khilaDi chaal chalta hai stricker ki madad se

aamad-o-raft un kanizon ki

lagi rahti hai kamron mein

kahin gori kahin kali kabhi rani

ajab hai khel carrom ka

har ek yan khelne wala isi dhun mein hai sargardan

isi kawish mein rahta hai

kisi tarah se rani ko wo us jaanib ko le jae

jo us ki jit ka ghar hai hai maskan us ki fath ka

mahal jo hai tamanna ka jo us ki rajdhani hai

jahan pe ja ke ye rani usi ki ho ke rah jae

ajab hai khel carrom ka

udhar rani ki sharten hain karega jo bhi puri ye

to rani tab hi jaegi

lo us ki shart bhi sun lo ki

kaniz-e-KHas ko le kar hi rani aap ki hogi

karegi kamre ka ruKH jab kaniz-e-KHas hamrah ho

siyah ho chahe gori ho magar wo sath mein jae

ajab hai khel carrom ka

mujhe rani ki sharton par baDa hi pyar aaya hai

khilaDi to nahin rani magar rani to hai aaKHir

huma fath-o-nusrat ka

aur akasr kaamrani ka

usi ke sar pe jata hai

ki jis ke pas rani hai

kai tarah se dekho to

bahut hain zawiye us mein

bahut asbaq hain us mein

dariche zehn ke khole

ajab hai khel carrom ka

kabhi rani ke hote bhi

shikast-e-fash hoti hai

kabhi rani ke hone se

muqaddar jagmaga uTThe

muzaffar aap ko kar de

kabhi rani to milti hai magar

tum haar jate ho

kabhi aisa bhi hota hai

koi rani ko na pa kar

bhi tum se jit jata hai

ajab hai khel carrom ka

(998) Peoples Rate This

Your Thoughts and Comments

Ajab Hai Khel Carrom Ka In English By Famous Poet Ibn-e-Mufti. Ajab Hai Khel Carrom Ka is written by Ibn-e-Mufti. Read famous Poem Ajab Hai Khel Carrom Ka for youth and Student by Ibn-e-Mufti. Free Download Ajab Hai Khel Carrom Ka in PDF.