Kya Kya Hain Gile Usko Bata Kyun Nahin Deta

kya kya hain gile us ko bata kyun nahin deta

tazir-e-KHata mujh ko suna kyun nahin deta

hain nawak-e-dil-doz mere yar ke tewar

ek bar wo sab tir chala kyun nahin deta

yak-tarfa mohabbat ke tazabzub se to niklun

is raaz se parda wo haTa kyun nahin deta

likhta bhi hai mujh ko sar-e-qirtas-e-mohabbat

mazmum jo lagta hun miTa kyun nahin deta

itna hi fasurda hai agar haal pe mere

jalwa kabhi apna wo dikha kyun nahin deta

sar-garm-e-safar hun main tere dasht mein kab se

mujh ko meri manzil ka pata kyun nahin deta

KHwabida-nasibi bhi to teri hi ata hai

soi meri taqdir jaga kyun nahin deta

jo tab-e-tamasha hi nahin us mein 'raza' tu

wo aatish-e-furqat ko bujha kyun nahin deta

(886) Peoples Rate This

Your Thoughts and Comments

Kya Kya Hain Gile Usko Bata Kyun Nahin Deta In English By Famous Poet Ibn-e-Raza. Kya Kya Hain Gile Usko Bata Kyun Nahin Deta is written by Ibn-e-Raza. Read famous Poem Kya Kya Hain Gile Usko Bata Kyun Nahin Deta for youth and Student by Ibn-e-Raza. Free Download Kya Kya Hain Gile Usko Bata Kyun Nahin Deta in PDF.