Rah-e-talab Mein Kaun Kisi Ka Apne Bhi Begane Hain

rah-e-talab mein kaun kisi ka apne bhi begane hain

chand se mukhDe rashk-e-ghazalan sab jaane pahchane hain

tanhai si tanhai hai kaise kahen kaise samjhaen

chashm o lab-o-ruKHsar ki tah mein ruhon ke virane hain

uf ye talash-e-husn-o-haqiqat kis ja Thahren jaen kahan

sehn-e-chaman mein phul khile hain sahra mein diwane hain

hum ko sahaare kya ras aaen apna sahaara hain hum aap

KHud hi sahra KHud hi diwane sham-e-nafas parwane hain

bil-aKHir thak haar ke yaro hum ne bhi taslim kiya

apni zat se ishq hai sachcha baqi sab afsane hain

(2139) Peoples Rate This

Your Thoughts and Comments

Rah-e-talab Mein Kaun Kisi Ka Apne Bhi Begane Hain In English By Famous Poet Ibn-e-Safi. Rah-e-talab Mein Kaun Kisi Ka Apne Bhi Begane Hain is written by Ibn-e-Safi. Read famous Poem Rah-e-talab Mein Kaun Kisi Ka Apne Bhi Begane Hain for youth and Student by Ibn-e-Safi. Free Download Rah-e-talab Mein Kaun Kisi Ka Apne Bhi Begane Hain in PDF.