Ai Mausam-e-junun Ye Ajab Tarz-e-qatl Hai

ai mausam-e-junun ye ajab tarz-e-qatl hai

insaniyat ke kheton mein lashon ki fasl hai

apne lahu ka rang bhi pahchanti nahin

insan ke nasib mein andhon ki nasl hai

munsif to faislon ki tijarat mein lag gae

ab jaane kis se hum ko taqaza-e-adl hai

dushman ka hausla kabhi itna qawi na tha

mere tabah hone mein tera bhi daKHl hai

laDte bhi hain to pyar se munh moDte nahin

hum se kahin ziyaada to bachchon mein aql hai

tariKH kah rahi hai ki chehra badal gaya

insan hai musir ki wahi apni shakl hai

dawa-e-KHun-baha na tazallum na ehtijaj

kis be-nawa-e-waqt ka 'ibrat' ye qatl hai

(709) Peoples Rate This

Your Thoughts and Comments

Ai Mausam-e-junun Ye Ajab Tarz-e-qatl Hai In English By Famous Poet Ibrat Machlishahri. Ai Mausam-e-junun Ye Ajab Tarz-e-qatl Hai is written by Ibrat Machlishahri. Read famous Poem Ai Mausam-e-junun Ye Ajab Tarz-e-qatl Hai for youth and Student by Ibrat Machlishahri. Free Download Ai Mausam-e-junun Ye Ajab Tarz-e-qatl Hai in PDF.