Apne Ehsanon Ka Nila Saeban Rahne Diya

apne ehsanon ka nila saeban rahne diya

chhin li chhat aur sar par aasman rahne diya

aaj us ki be-zabani ne mujhe samjha diya

kis liye fitrat ne gul ko be-zaban rahne diya

zindagi to kya asasa tak nahin baqi bacha

qatilon ne ab ke bas KHali makan rahne diya

KHauf-e-ruswai se main ne KHat jala Dala magar

jaane kyun us chand se lab ka nishan rahne diya

dosti ko apni majburi nahin samjha kabhi

fasla main ne barabar darmiyan rahne diya

be-gunahi ki safai de bhi sakta tha magar

kuchh samajh kar main ne us ko bad-guman rahne diya

aag ke bazigaron ne ab ke khel aisa khela

shahr ki taqdir mein KHali dhuan rahne diya

kya siyasi chaal hai ye zaliman-e-waqt ki

le liya sab kuchh magar ek KHauf-e-jaan rahne diya

chaunk chaunk uThta hun main raaton ko 'ibrat' KHauf se

KHwab us ne meri aankhon mein kahan rahne diya

(1021) Peoples Rate This

Your Thoughts and Comments

Apne Ehsanon Ka Nila Saeban Rahne Diya In English By Famous Poet Ibrat Machlishahri. Apne Ehsanon Ka Nila Saeban Rahne Diya is written by Ibrat Machlishahri. Read famous Poem Apne Ehsanon Ka Nila Saeban Rahne Diya for youth and Student by Ibrat Machlishahri. Free Download Apne Ehsanon Ka Nila Saeban Rahne Diya in PDF.