Dost Kuchh Aur Bhi Hain Tere Alawa Mere Dost

dost kuchh aur bhi hain tere alawa mere dost

kai sahra mere hamdam kai dariya mere dost

tu bhi ho main bhi hun ek jagah pe aur waqt bhi ho

itni gunjaishen rakhti nahin duniya mere dost!

teri aankhon pe mera KHwab-e-safar KHatm hua

jaise sahil pe utar jae safina mere dost!

zist be-mani wahi be-sar-o-samani wahi

phir bhi jab tak hai teri dhup ka saya mere dost!

ab to lagta hai judai ka sabab kuchh bhi na tha

aadmi bhul bhi sakta hai na rasta mere dost!

rah takte hain kahin dur kai sust charagh

aur hawa tez hui jati hai achchha mere dost!

(1660) Peoples Rate This

Your Thoughts and Comments

Dost Kuchh Aur Bhi Hain Tere Alawa Mere Dost In English By Famous Poet Idris Babar. Dost Kuchh Aur Bhi Hain Tere Alawa Mere Dost is written by Idris Babar. Read famous Poem Dost Kuchh Aur Bhi Hain Tere Alawa Mere Dost for youth and Student by Idris Babar. Free Download Dost Kuchh Aur Bhi Hain Tere Alawa Mere Dost in PDF.