Ek Din KHwab-nagar Jaana Hai

ek din KHwab-nagar jaana hai

aur yunhi KHak-basar jaana hai

umr bhar ki ye jo hai be-KHwabi

ye usi KHwab ka harjaana hai

ghar se kis waqt chale the hum log

KHair ab kaun sa ghar jaana hai

maut ki pahli alamat sahib

yahi ehsas ka mar jaana hai

kisi taqrib-e-judai ke baghair

Thik hai jao agar jaana hai

shor ki dhul mein gum galiyon se

dil ko chup-chap guzar jaana hai

(805) Peoples Rate This

Your Thoughts and Comments

Ek Din KHwab-nagar Jaana Hai In English By Famous Poet Idris Babar. Ek Din KHwab-nagar Jaana Hai is written by Idris Babar. Read famous Poem Ek Din KHwab-nagar Jaana Hai for youth and Student by Idris Babar. Free Download Ek Din KHwab-nagar Jaana Hai in PDF.