Karte Phirte Hain Ghazalan Tera Charcha Sahab

karte phirte hain ghazalan tera charcha sahab

hum bhi nikle hain tujhe dekhne sahra sahab

ye kuchh aasar hain ek KHwab-shuda basti ke

yahin bahta tha wo dil nam ka dariya sahab

tha yahi haal hamara bhi magar jagte hain

kya ajab KHwab sunaya hai dobara sahab

sahal mat jaan ki tujh ruKH pe KHuda hote hue

dil hua jata hai gard-e-rah-e-duniya sahab

hum na kahte the ki us ko nazar-andaz na kar

aaina TuT gaya dekh liya na sahab

yun hi din Dub raha ho to KHayal aata hai

yun hi duniya se guzar jate hain kya kya sahab

aabshaaron ki jagah dil mein kisi ke shab-o-roz

KHak uDti ho to wo KHak likhega sahab

sach kaha aap ki duniya mein hamara kya kaam

hum to bas yunhi chale aae the achchha sahab

tum to kya ishq-e-bala-KHez ke aage bahar

mir sahab hain baDi chiz na mirza sahab

(641) Peoples Rate This

Your Thoughts and Comments

Karte Phirte Hain Ghazalan Tera Charcha Sahab In English By Famous Poet Idris Babar. Karte Phirte Hain Ghazalan Tera Charcha Sahab is written by Idris Babar. Read famous Poem Karte Phirte Hain Ghazalan Tera Charcha Sahab for youth and Student by Idris Babar. Free Download Karte Phirte Hain Ghazalan Tera Charcha Sahab in PDF.