KHamosh Rah Ke Zawal-e-suKHan Ka Gham Kiye Jaen

KHamosh rah ke zawal-e-suKHan ka gham kiye jaen

sawal ye hai ki yun kitni der hum kiye jaen

ye naqsh-gar ke liye sahal bhi na ho shayad

ki hum se aur bhi is KHak par raqam kiye jaen

kai guzishta zamane kai shikasta nujum

jo dastaras mein hain lafzon mein kaise zam kiye jaen

ye goshware zaban ke bahut sambhaal chuke

sau sher kaT diye jaen KHwab kam kiye jaen

tera KHayal bhi aae to kitni der talak

kai ghazal mere dasht-e-dil mein ram kiye jaen

main jaanta hun ye mumkin nahin magar ai dost

main chahta hun ki wo KHwab phir baham kiye jaen

hisab dil ka rakhen hum ki dahr ka 'babar'

shumar dagh kiye jaen ya diram kiye jaen

(763) Peoples Rate This

Your Thoughts and Comments

KHamosh Rah Ke Zawal-e-suKHan Ka Gham Kiye Jaen In English By Famous Poet Idris Babar. KHamosh Rah Ke Zawal-e-suKHan Ka Gham Kiye Jaen is written by Idris Babar. Read famous Poem KHamosh Rah Ke Zawal-e-suKHan Ka Gham Kiye Jaen for youth and Student by Idris Babar. Free Download KHamosh Rah Ke Zawal-e-suKHan Ka Gham Kiye Jaen in PDF.