Matla Ghazal Ka Ghair Zaruri Kya Kyun Kab Ka Hissa Hai

matla ghazal ka ghair zaruri kya kyun kab ka hissa hai

zindagi chokleT cake hai thoDa thoDa sab ka hissa hai

ab jo bar mein tanha pita hun coffee ke nam pe zahr

us ki talKH si shirini mein us ke lab ka hissa hai

lok kahaniyon mein ma-baad-e-jadid ki pesh-amad jaise

fiction ki re-cell walue mein mazhab ka hissa hai

ke-pi-ke afghanistan hai aur balochistan iran

sindh hai chin mein aur pyara punjab arab ka hissa hai

sohni ya sohne se pahle haq hai ghaDe par pani ka

kab se ghaDi mein jab aur tab se zyaada ab ka hissa hai

mana hijr ki raat hai ye par kitni KHushi ki baat hai ye

gham ki rim-rim-jhim ki hamdam bazm-e-tarab ka hissa hai

cab chalane wale daji tab chalane wala saji

wo jo adab ka hissa the to ye bhi adab ka hissa hai

tai hua nazm hi mustaqbil hai pan-sau bil hai bhai pyaro

aankh na maro ghazal hamare hasab-nasab ka hissa hai

ek din jab buDhe painter ke pas sharab ke paise nahin the

chhat par ye ghanghor ghaTa tab se is pub ka hissa hai

sex jo pahle saKHtiyati roz-o-shab ka hissa thi

ab mabaad-e-saKHtiyati roz-o-shab ka hissa hai

qafiya bahr radif waghaira jaise harif zarif waghaira

in ko ThanDa soDa pilao bhai ye kab ka qissa hai

(1080) Peoples Rate This

Your Thoughts and Comments

Matla Ghazal Ka Ghair Zaruri Kya Kyun Kab Ka Hissa Hai In English By Famous Poet Idris Babar. Matla Ghazal Ka Ghair Zaruri Kya Kyun Kab Ka Hissa Hai is written by Idris Babar. Read famous Poem Matla Ghazal Ka Ghair Zaruri Kya Kyun Kab Ka Hissa Hai for youth and Student by Idris Babar. Free Download Matla Ghazal Ka Ghair Zaruri Kya Kyun Kab Ka Hissa Hai in PDF.