Main Use Sochta Raha Yani

main use sochta raha yani

wo mera KHwab hai KHuda yani

hijr se hijr tak thi ye hijrat

wo mila yani kho gaya yani

gardish-e-mehr-o-mah ka hasil

yani mera wajud la-yani

dil kahan shahsawar-e-duniya tha

so gira gir ke mar gaya yani

to mujhe us ka nam bhul gaya

ho gaya main bhi lapata yani

kaam ki baat puchhte kya ho

kuchh hua kuchh nahin hua yani

chalte rahiye to sukh jaega

ye samundar ye aabla yani

yani tum se to main mila hi nahin

wo koi aur shaKHs tha yani

koi aawaz TuTne ki nahin

dil mein ek baat hai KHala yani

us ko KHush dekh kar wahan 'babar'

main bhi KHush tha udas tha yani

(882) Peoples Rate This

Your Thoughts and Comments

Main Use Sochta Raha Yani In English By Famous Poet Idris Babar. Main Use Sochta Raha Yani is written by Idris Babar. Read famous Poem Main Use Sochta Raha Yani for youth and Student by Idris Babar. Free Download Main Use Sochta Raha Yani in PDF.