Hai Ye Mar MiTne Ka Inam Tumhein Kya Malum

hai ye mar miTne ka inam tumhein kya malum

lazzat-e-dashna-e-ba-dnam tumhein kya malum

tum ne dekhi hai faqat meri pareshan-haali

mujh pe kya kya hue ikram tumhein kya malum

hairati ho ke uThae hue dil phirte hain

is ke lag jaane ka anjam tumhein kya malum

jazba-e-KHwahish-o-ehsas ki is bazi mein

kaun ho jaega nakaam tumhein kya malum

dekhte ho mujhe par-basta to hans dete ho

hai yahan kaun tah-e-dam tumhein kya malum

waqt ka rang badalte nahin dekha tum ne

surat-e-gardish-e-ayyam tumhein kya malum

mausam-e-mehr ke do-chaar baras dekhe hain

saKHti-e-mausam-e-alam tumhein kya malum

(844) Peoples Rate This

Your Thoughts and Comments

Hai Ye Mar MiTne Ka Inam Tumhein Kya Malum In English By Famous Poet Iffat Abbas. Hai Ye Mar MiTne Ka Inam Tumhein Kya Malum is written by Iffat Abbas. Read famous Poem Hai Ye Mar MiTne Ka Inam Tumhein Kya Malum for youth and Student by Iffat Abbas. Free Download Hai Ye Mar MiTne Ka Inam Tumhein Kya Malum in PDF.