Hai Ye Shahr-e-ishq Yan Aab-o-hawa Kuchh Aur Hai

hai ye shahr-e-ishq yan aab-o-hawa kuchh aur hai

surKH rangat hai zamin ki aur faza kuchh aur hai

yan junun hai karwan-e-shauq ko bang-e-rahil

ai musafir ye payam-e-naqsh-e-pa kuchh aur hai

hai juda is shahr-e-dil mein lazzat-e-ranj-o-alam

is jagah KHun-e-jigar ka zaiqa kuchh aur hai

aarif-e-kaamil hain in sahraon ke sahra-naward

yan to har majnun ka andaz-o-ada kuchh aur he

zikr ki tamsil har tansil ki tabir hai

lutf-e-jannat aur hai aab-e-baqa kuchh aur hai

regzar-e-hijr mein ehsas ke zamzam nihan

is jagah to tishnagi ka silsila kuchh aur hai

tu jo nau-warid hai sun yan aish-e-hasti hai juda

husn ki sarkar mein lafz-e-fana kuchh aur hai

dosh par aaghosh mein pahlu mein haidar kab na the

dast-e-mursal par bulandi ka maza kuchh aur hai

ahl-e-radd-o-kad ne sau tafsir ki ek lafz ki

par na samjhe ki nabi ka muddaa kuchh aur hai

sun kisi majzub se ek bar rudad-e-ghadir

KHum ke mimbar par ali ka martaba kuchh aur hai

surKH-ru ho jae tujh se dawa-e-ulfat shahab

aashiqon ke zinda rahne ki ada kuchh aur hai

(794) Peoples Rate This

Your Thoughts and Comments

Hai Ye Shahr-e-ishq Yan Aab-o-hawa Kuchh Aur Hai In English By Famous Poet Iffat Abbas. Hai Ye Shahr-e-ishq Yan Aab-o-hawa Kuchh Aur Hai is written by Iffat Abbas. Read famous Poem Hai Ye Shahr-e-ishq Yan Aab-o-hawa Kuchh Aur Hai for youth and Student by Iffat Abbas. Free Download Hai Ye Shahr-e-ishq Yan Aab-o-hawa Kuchh Aur Hai in PDF.